Namastey India show

Namastey India

Summary: Namastey India! Kaise hain aap log? Unapologetic, Raw and Opinionated! That's what this show is all about. Koi bhi topic chota nhi koi bhi topic bada nhi. Sab cover karenge yaha aur karenge baatein India ki, apne style me. Har shaam leke aayenge ek aisi khabar jisne sabse zyada impact kia hamare desh ko. Stay tuned, and subscribe for regular updates!

Join Now to Subscribe to this Podcast
  • RSS
  • Artist: Anurag & Shivam
  • Copyright: Copyright 2020 Anurag & Shivam

Podcasts:

 Aflatoon Mumbaikars in Unlock 1.0 | EP22 | File Type: audio/mpeg | Duration: 664

Unlock 1.0 shuru kya hua, corona k cases chune lage hai nayi uchaaiyan. India me corona cases ka daily record tut raha hai, phir bhi aam janta hai laaparwah.

 How to market and promote your podcast | EP21 | File Type: audio/mpeg | Duration: 543

Aaj ke episode me baat karange k Kaise apne podcast ko market and promote kare taaki aapke subscribers and listeners badhe

 How to record and release a Podcast | EP20 | File Type: audio/mpeg | Duration: 1130

Aaj ke episode me baat karange k Kaise apna podcast record krna hai aur release schedule Kaise kana hai

 How to start a podcast | EP19 | File Type: audio/mpeg | Duration: 1280

Kya aap bhi soch rahe hain apna podcast start krne k liye? Aaj k episode me aapke saath ek guide share karenge jisse aap bhi apna khud ka podcast start kr skte hain bilkul FREE me!

 Stop Cruelty Towards Animals | EP18 | File Type: audio/mpeg | Duration: 1237

Aaj Namastey India, kaise hain aap log , bolne ka mann nhi kar raha. Haiwaano se bhi battar harkatein krne lag jaaye jab insaan toh usme insaniyat he kahan bachi. Aaj k episode me baat karenge Kerala me huyi ek pregnant elephant ki hatya k baare me aur kaise hamare desh me animal cruelty ki taraf koi dhyaan nhi de raha

 Toxic logon se bacho | EP17 | File Type: audio/mpeg | Duration: 1341

Red Alert bhai, Red alert! Aaj ka episode is all about figuring out k aapki life me kon hai woh toxic log jo kar rahe hain jeena haraam. Humme ehsaas bhi nhi hota k toxicity se hamari life kitni badal jaati hai. Aaj baat karenge kuch aise, not so obvious signs ki, jo aapki help karenge

 Social Media - Boon or Bane | EP16 | File Type: audio/mpeg | Duration: 911

Aaj baat karenge Social Media ki aur is it a Boon or a Bane Blog reference : https://sociallydesi.com

 Gaming ka Bukhaar | EP15 | File Type: audio/mpeg | Duration: 1297

PUBG our Fortnite kar rahe hai gamers k dil pe raaj. Aaj ke episode me baat karenge top played games in india aur gaming industry ki

 Unlock 1.0 | EP14 | File Type: audio/mpeg | Duration: 691

MHA ne jarre ordi hai guidelines Unlock Phase 1 ki. Aaj k show me discuss karenge phases me open hone wali cheezon ki aur bahot kuch

 Vocal about Local | EP13 | File Type: audio/mpeg | Duration: 1354

Vocal About Local ki zubaan ab bolne laga hai bharat. Aaj ke episode me charcha karenge PM Modi ki iss pitch ka aur kaise hindustan atma nirbhav ban skta hai

 #DontShamePeriod | EP12 | File Type: audio/mpeg | Duration: 1152

World Menstrual Hygiene Day k chalte, Netizens ne lia Red Dot Challenge. Aaj k show me baat karenge is age old taboo k baare me aur kaise log ise break krne ki koshish me jude hain

 Aaloo Bhujiya of News | EP11 | File Type: audio/mpeg | Duration: 1361

Sonu Sood ko krne lag gaye hain log Rajnikanth se compare. Ek family ne pure k pure 180 seats book ki plan ki apne 4 family members ko fly down krwane k liye. Aaj k show me leke aaye hai is week ki kuch masale daar khabron ka mixture

 State of Mental Health in India | EP10 | File Type: audio/mpeg | Duration: 1177

Crime Patrol , Meri Durga aur Laal Ishq k fame se ubhari actress Preksha Mehta ne kia suicide. Sirf 25 saal ki thi Preksha, Aaj k episode me baat karenge badhte suicides and mental health k baare me hamare desh k

 Haaye Garmi | EP09 | File Type: audio/mpeg | Duration: 1027

IMD ne issue kr dia hai Red Alert North India me. Aaj k episode me baat karenge kuch precautionary measures ki jo aap apna skte hain apne aur apne loved ones ko protect rakhne k liye

 Nawazuddin Siddiqui Divorce Situation | EP08 | File Type: audio/mpeg | Duration: 972

4 saal se bhi zyada time tak alag alag rehne k baad, Nawzunddin Siddiqui ki wife ne pichle haft file kia divorce. Aaj k episode me baat karenge Nawazzundin siddiqui aur unke wife k beech chal rhi problem jo ab social media me aag ki tarah fail chuki hai

Comments

Login or signup comment.