Carefree Parenting (Hindi) show

Carefree Parenting (Hindi)

Summary: Carefree Parenting mein aap parent hone ki khushi ko zyaada se zyaada badhaane, aur uski pareshaaniyon ko kam karne ki tarkeebein seekh sakte hain. Aap aur aapke bachchon ke beech ki tension aur ashaanti se hatke, unse pyaar aur vishwaas ka ek khushnuma rishta jodiye. Agar aap parent hain, parent banna chahte hain, ya apne parents ko samajhna chahte hain, Carefree Parenting aap ke liye hai. Carefree Parenting ki madad se aap apne bachchon ke saath aisa rishta kaayam kar sakte hain jaisa aap hamesha se chahte the.

Podcasts:

 Aapke Aur Aapke Bachche Ke Rishte Mein Naya Josh, Nayi Umang Jagaane Ka Raaz | File Type: audio/mpeg | Duration: Unknown

Agar sirf ek cheez karne se, ek badlaav se, aap apne bachche ke saath apne rishte mein naya josh, nayi umang bhar sakein, to kya aap us cheez ko karenge? Kya aap us cheez ko karna yaad rakh paayenge? Vo ek cheez kya hai, ye jaanney ke liye, sunte rahiye...

 "Mera Bachcha Meri Baat Sunta Hi Nahin" Ki Pareshaani Ka Tod | File Type: audio/mpeg | Duration: Unknown

Har ma-baap ko yahi baat khaaye jaati hai ki unke bachche unki baat nahin sunte. Aur jaise vo bade hote hain, vo aapki baat pehle se bhi kam sunte hain. Apne bachchon tak apni baat panhunchaane ki tarkeebein jaanane ke liye, aage suniye.

 “Mera Bachcha Mujhe Kuchh Bataata Hi Nahin” Ki Pareshaani Ka Tod | File Type: audio/mpeg | Duration: Unknown

Apne bachchon se achha rishta banaaye rakhne ke liye unka aapse baat-cheet karna zaroori hai. Lekin zyaadatar bachche kabhi na kabhi apne ma-baap se baat karna band kar dete hain. Ye haalaat kaise na paida hon, aur agar aisa haal hai, to is pareshani ka tod jaaniye.

 Parent Hone Ke Apne Sabse Bade Chhupe Huye Dar Par Kabu Paaiye | File Type: audio/mpeg | Duration: Unknown

Parent hone ki sabse badi chunautiyon mein se hai ki aapki har decision, har action par koi na koi aap ko taane sunaayega, yahaan tak ki aapke parents bhi! Isi dar se, hum bahut saari aisi cheezein karte hain jo hamare aur hamare bachchon ke liye nuksaandeh hain, aur jo unke aur hamare rishte mein daraar paida karte hain. ‘Log kya kahenge’ ke dar se hamesha ke liye apni peechha chhudaiye.

 Apne Bachchon Ko Apna Fan Banaaiye | File Type: audio/mpeg | Duration: Unknown

Zara sochiye - aapke parenting safar ki manzil kya hai? Is manzil tak panhunchne ki koshish aapke aur aapke bachchon ke rishte ko itna mazboot banaa degi, ki vo aapke fan ban jaayenge!

 Parenting Ke Is Jaal Se Chaukanne Rahiye | File Type: audio/mpeg | Duration: Unknown

Hum apne bachchon se pyaar karte hain, isliye hum unse judi hui pareshaniyon ka hal hamesha dhoondhte rehte hain. Magar - . Jab hum tarkeebon ko sunkar 'magar' kehte rehte hain, toh ye hamare liye ishara hai ki hum apni mushkil ko hal karne ke liye taiyyar nahin hain.

 Zyaadaatar Parenting Nuskhe Lambe Arsey Tak Kyon Nahin Chalte? | File Type: audio/mpeg | Duration: Unknown

Chahe parenting ka kitna hi achha nuskha kyon na ho, vo sirf kuchh der tak chalta hai. Ye isliye, ki is nuskhe mein se ek bahut zaroori kirdaar laapataa hai. Is kirdaar ke baare mein jaaniye, jiske hone se aap parenting salaah ka faayda lambe arsey tak uthaa sakte hain.

 Carefree Parenting Kya Hai? | File Type: audio/mpeg | Duration: Unknown

Carefree Parenting aapke aur aapke bachchon ke beech ke stress aur tension ko kam karne ki tarkeebein bataakar, aap mein parent hone ki umang phir se taaza karta hai. Special workshop at http://carefreeparenting.com/the-simple-secret-that-makes-your-child-easier-to-manage/

 Carefree Parenting se jaan-pehchaan | File Type: audio/mpeg | Duration: Unknown

Carefree Parenting ke baare mein thodi si jaankari.

Comments

Login or signup comment.